Shree Krishna Chalisa

Shree Krishna Chalisa

Shree Krishna Chalisa

Doha

Banshi Shobhit Kar Madhur, Nil Jalaj Tanu Shyam

Arun Adhar Janu Bimba Phal, Nayan Kamal Abhiram

Puran Indu Arvind Mukh, Pitambar Suchi Saj

Jai Man Mohan Madan Chhavi, Krishinachandra Maharaj

Chaupai

Jai Jai Yadunandan Jag Vandan, Jai Vasudev Devki Nandan

Jai Yashoda Sut Nandadulare, Jai Prabhu Bhaktan Ke Rakhvare

Jai Natanagar Nag Nathaiya, Krishna Kanhaiya Dhenu Charaiya

Puni Nakh Par Prabhu Girivar Dharo, Ao Dinan-Kasht Nivaro

Banshi Madhur Adhar-Dhari Tero, Hove Puran Manorath Mero

Ao Harli Puni Makhan Chakho, Aaj Laj Bhaktan Ki Rakho

Gol Kapol Chibuk Arunare, Mridu Muskan Mohini Dare

Rajit Rajiv Nayan Vishala, Mor Mukut Vaijantimala

Kundal Shravan Pit Pat Achhe, Kati Kinkini Kachhani Kachhe

Nil Jalaj Sundar Tan Sohai, Chhavi Lakhi Sur Nar Muni Man Mohai

Mastak Tilak Alak Ghunghrale, Ao Shyam Bansuriya Vale

Kari Pai Pan Putanahin Taryo, Aka-Baka Kagasur Maryo

Madhuvan Jalat Agin Jab Jvala, Bhe Shital Lakhatahin Nandaiala

Jab Surpati Brij Chadhyo Risai, Musar Dhar Bari Barsai

Lakhat Lakhat Bnij Chahat Bahayo, Govardhan Nakh Dhari Bachayo

Lakhi Yashuda Man Bhram Adhikai, Mukh Mahan Chaudah Bhuvan Dikhai

Dusht Kansa Ati Udham Machayo, Koti Kamal Kahan Phul Mangayo

Nathi Kaiiyahin Ko Tum Linhyo, Charan Chinh Dai Nirbhai Kinhyo

Kari Gopin Sang Ras Bilasa, Sab Ki Pur Kari Abhilasa

Aganit Maha Asur Sanharyo, Kansahi Kesh Pakadi Dai Maryo

Matu Pita Ki Bandi Chhudayo, Ugrasen Kahan Raj Dilayo

Him Se Mritak Chhahon Sut Layo, Matu Devakl Shok Mitayo

Narkasur Mur Khal Sanhari, Lae Shatdash Sahas Kumari

Dai Bhimahin Tran Chiri Isara, Jarasindh Rakshas Kahan Mara

Asur Vrikasur Adik Maryau, Nij Bhaktan Kar Kasht Nivaryau

Din Sudama Ke Dukh Taryo, Tandul Tin Muthi Mukh Daryo

Duryodhan Ke Tyagyo Meva, Kiyo Vidur Ghar Shak Kaleva

Lakhi Prem Tuhin Mahima Bhari, Naumi Shyam Danan Hitkari

Bharat Men Parath-Rath Hanke, Liye Chakra Kar Nahin Bat Thake

Nij Gita Ke Gyan Sunaye, Bhaktan Hridai Sudha Sarsaye

Mira Aisi Matvali, Vish Pi Gayi Bajakar Tali

Rana Bheja Saap Pitari, Shaligram Bane Banvari

Nij Maya Tum Vidhihin Dikhayo, Urte Sanshai Sakal Mitayo

Tav Shatninda Kari Tatkala, Jivan Mukt Bhayo Shishupala

Jabahin Draupadi Ter Lagai, Dinanath Laj Ab Jai

Turatahih Basan Bane Nandlala, Badhay Chir Bhe Ari Munh Kala

As Anath Ke Nath Kanhaiya, Dubat Bhanvar Bachavahi Naiya

"Sundardas" Aas Ur Dharri, Daya Drishti Keejay Banwari

Nath Sakai Un Kumati Nivaro, Chhamon Vegi Apradh Hamaro

Kholo Pat Ab Darshan Dijai, Bolo Krishna Kanhaiya Ki Jai

Doha

Yeh Chalisa Krishna Ka, Path Krai Ur Dhari

Asht Siddhi Nay Niddhi Phal, Lahai Padarath Chari

|| Iti Shree Krishna Chalisa Sampurnam ||